ajab apna haal hota jo visal-e-yar hota
kabhi jaan sadqe hoti kabhi dil nisar hota
koi fitna ta-qayamat na phir ashkar hota
tire dil pe kaash zalim mujhe ikhtiyar hota
jo tumhari tarah tum se koi jhute vaade karta
tumhin munsifi se kah do tumhen e’tibar hota
gham-e-ishq men maza tha jo use samajh ke khate
ye vo zahr hai ki akhir mai-e-khush-gavar hota
ye maza tha dil-lagi ka ki barabar aag lagti
na tujhe qarar hota na mujhe qarar hota
na maza hai dushmani men na hai lutf dosti men
koi ghair ghair hota koi yaar yaar hota
tire vaade par sitamgar abhi aur sabr karte
agar apni zindagi ka hamen e’tibar hota
ye vo dard-e-dil nahin hai ki ho charasaz koi
agar ek baar mitta to hazar baar hota
gae hosh tere zahid jo vo chashm-e-mast dekhi
mujhe kya ulat na dete jo na bada-khvar hota
mujhe mante sab aisa ki adu bhi sajde karte
dar-e-yar kaaba banta jo mira mazar hota
tumhen naaz ho na kyunkar ki liya hai ‘dagh’ ka dil
ye raqam na haath lagti na ye iftikhar hota
Leave a Reply