nuqush-e-hasrat mita ke uthna, khushi ka parcham uda ke uthna
mila ke sar baithna mubarak tarana-e-fath ga ke uthna
ye guftugu guftugu nahin hai bigadne banne ka marhala hai
dhadak raha hai faza ka siina ki zindagi ka muamla hai
khizan rahe ya bahar aae tumhare hathon men faisla hai
na chain be-tab bijliyon ko na mutmain karvan-e-shabnam
kabhi shagufon ke garm tevar kabhi gulon ka mizaj barham
shagufa o gul ke is tasadum men gulsitan ban gaya jahannam
saja len sab apni apni jannat ab aise khake bana ke uthna
khazana-e-rang-o-nur tarik rahguzaron men lut raha hai
urus-e-gul ka ghurur-e-ismat siyahkaron men lut raha hai
tamam sarmaya-e-latafat zalil kharon men lut raha hai
ghuti ghuti hain numu ki sansen chhuti chhuti nabz-e-gulistan hai
hain gursana phul, tishna ghunche, rukhon pe zardi labon pe jaan hai
asiir hain ham-safir jab se khizan chaman men ravan-davan hai
is intishar-e-chaman ki saugand bab-e-zindan hila ke uthna
hayat-e-giti ki aaj badli hui nigahen hain inqilabi
ufuq se kirnen utar rahi hain bikherti nur-e-kamyabi
nai sahar chahti hai khvabon ki bazm men izn-e-baryabi
ye tirgi ka hujum kab tak ye yaas ka azhdaham kab tak
nifaq o ghaflat ki aad le kar jiyega murda nizam kab tak
rahenge hindi asiir kab tak rahega bharat ghulam kab tak
gale ka tauq aa rahe qadam par kuchh is tarah tilmila ke uthna
Leave a Reply