dil ishq-e-khush-qadan men jo khvahan-e-nala tha
divana-var silsila-jumban-e-nala tha
naale se mere kya hai havai ko ham-sari
tir-e-shahab raat ko qurban-e-nala tha
dhundun na kyunki dil ko main ai ahuvan-e-dasht
siine men vo to sher-e-niyastan-e-nala tha
karta tha jin dinon ye falak ham se sar-kashi
navak-zani ka aah se paiman-e-nala tha
ishq-e-butan tha dil se jo dam-saz misl-e-nai
har dam asar men taba-e-farman-e-nala tha
sayyad ke jigar men kare tha sinan ka kaam
murgh-e-qafas ke sar pe ye ehsan-e-nala tha
gaade falak pe kya ye dil-e-na-tavan alam
vo din gae jo auj-e-faravan-e-nala tha
kal shab ko zikr tha jo kisi neza-baz ka
ashiq ka tere charkh sana-khvan-e-nala tha
yaron ke qafile ki mujhe jab ki yaad thi
siine men juun jaras mire saman-e-nala tha
mat puchh vardat-e-shab-e-hijr ai ‘nasir’
main kya kahun jo kar-e-numayan-e-nala tha
lene ko akhtran-e-falak se khiraj-o-baj
har aan shoala-o-sharar-afshan-e-nala tha
Leave a Reply