meri miTTi men jab na tha patthar
kaise kah duun ki hai ḳhuda patthar
sho.ala-e-ishq ka asar tauba
mom jaisa pighal gaya patthar
jab bhi bazm-e-ḳhirad men aaya main
aql par meri paḌ gaya patthar
gul bichha.un main tere qadmon men
meri rahon men tu bichha patthar
rah-e-haq men yaqin tha ham par
sirf barsenge iinT ya patthar
lad gaya jab shajar phalon se koi
us pe sab ne uTha diya patthar
log toḌenge baar baar use
shisha-e-dil ko tu bana patthar
narm rassi se ghis na jaa.e jo
mujh ko aisa nahin mila patthar
doston ke hadaf pe hai ‘azam’
ab vo barsa.en phuul ya patthar
Leave a Reply