jada-e-rasti hi kaafi hai
mujh ko ye raushni hi kaafi hai
is jahan men guzarne ke liye
muḳhtasar zindagi hi kaafi hai
tujh ko farzangi mubarak ho
mujh ko divangi hi kaafi hai
kya zarurat hai dushmanon ki mujhe
aap ki dosti hi kaafi hai
kya karunga main sim-o-zar le kar
daulat-e-be-ḳhudi hi kaafi hai
dil ke angan men raushni ke liye
fikr ki tazgi hi kaafi hai
is chaman men ḳhizan-nasibon ko
ik kali adh-khili hi kaafi hai
lashkar-e-gham se jitne ke liye
chand-roza ḳhushi hi kaafi hai
aarzu ke nihal ko ‘shahid’
ansuon ki nami hi kaafi hai
Leave a Reply