ghar ko ab dasht-e-karbala likkhun
aaj ḳhud apna marsiya likkhun
saada kaghaz pe ḳhuun ke aansu
ab use ḳhat men aur kya likkhun
barg-e-gul par saba ke daman par
naam tera hi ja-ba-ja likkhun
zikr aa.e jo teri manzil ka
chand-suraj ko naqsh-e-pa likkhun
ho tira hi jamal pesh-e-nazar
jab qalam se ḳhuda ḳhuda likkhun
main to zinda huun mar chuka hai vo
apne qatil ka marsiya likhun
ai ‘sarosh’ apni zindagi ko main
kaun se jurm ki saza likkhun
Leave a Reply