jab ḳhuda ko jahan basana tha
tujh ko aisa nahin banana tha
mere ghar tera aana jaana tha
vo bhi ai yaar kya zamana tha
phir ga.e aap mere kuche se
do qadam par gharib-ḳhana tha
jo na samjhe ki ashiqi kya hai
us se be-kar dil lagana tha
aa.e the baḳht azmane ham
aap ko tegh azmana tha
ai sitamgar qabr-e-ashiq par
chand aansu tujhe bahana tha
tu ne rahne diya pas-e-divar
varna apna kahan Thikana tha
ab jahan par hai shaiḳh ki masjid
pahle us ja sharab-ḳhana tha
daḳhl ahl-e-riya na rakhte the
pak-bazon ka aana jaana tha
bazm men ghair ko na bulvate
aap ko jab hamen bulana tha
vo chaman ab ḳhizan-rasida hai
bulbulon ka jahan tarana tha
sunte hain vo shajar bhi suukh gaya
jis pe sayyad ashiyana tha
dil na dete use to kya karte
ai ‘asar’ dukh hamen uThana tha
Leave a Reply