main ne jo raah li dushvar ziyada nikli
mere andaze se har baar ziyada nikli
koi rauzan na jharoka na koi darvaza
meri ta.amir men divar ziyada nikli
ye miri maut ke asbab men likha hua hai
ḳhuun men ishq ki miqdar ziyada nikli
kitni jaldi diya ghar valon ko phal aur saaya
mujh se to peḌ ki raftar ziyada nikli
Leave a Reply