• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Visaliya

Visaliya

obaidullah-aleem

sab barishen ho ke tham chuki thiin

ruhon men dhanak utar rahi thi

main khvab men baat kar raha tha

vo niind men pyaar kar rahi thi

ahval hi aur ho rahe the

lazzat men visal ro rahe the

boson men dhule-dhulae donon

nashshe men lipat ke so rahe the

chhota sa hasin sa vo kamra

ik alam-e-khvab ho raha tha

khushbu se gulab ho raha tha

masti se sharab ho raha tha

vo chhanv sa chandni sa bistar

ham rang naha rahe the jis par

yuun tha ki ham apni zaat ke andar

the apna hi ek aur manzar

sairab mohabbaton ke dhare

baham the vajud ke kinare

mauzu-e-sukhan, sukhan the saare

aalam hi ajiib the hamare

jaage vo lahu men silsile phir

tan man ke vahi the zaiqe phir

tham tham ke baras baras gae phir

patal tak ho gae hare phir

jaari tha vo raqs-e-ham-kinari

nikli nai subh ki savari

aisa laga kaenat saari

is aan to hai faqat hamari

jab chand mira naha ke nikla

main dil ko diya bana ke nikla

kashkol-e-dua utha ke nikla

shaer tha sada laga ke nikla

dariya vo samundaron se gahre

vo khvab gulab aise chehre

sab zaviyon ho gae sunahre

ainon men jab vo aa ke thahre

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Phul Mahkae the Maine Shadmani Ke Liye

poet

Bata Tu dil Ke Bachane Ki Koi Rah Bhi Hai

poet

Main Zahr Rahi Har Sham Rahi

Qasam KHuda Ki Na Jaana Kahin Nahin Jaana

Ek Hasin Ko Dil De Kar Kya Bataen Kya Paya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet