• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Main Us Se dur Raha Uski dastaras Mein Raha

Main Us Se dur Raha Uski dastaras Mein Raha

abbas-rizvi

main us se duur raha us ki dastaras men raha

vo ek shoale ki surat mire nafas men raha

nazar asiir isi chashm-e-mai-fashan ki rahi

mira badan bhi miri ruuh ke qafas men raha

chaman se tuut gaya barg-e-zard ka rishta

na aab o gil men samaya na khar-o-khas men raha

tamam umr ki be-tabiyon ka hasil tha

vo ek lamha jo sadiyon ke pesh-o-pas men raha

vo ek shaer-e-ashufta-sar ki mujh men tha

hava ka saath na de kar hava ke bas men raha

kisi khayal ke nashshe men din guzarte rahe

main apni umr ke unnisven baras men raha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

faiz-ahmad-faiz

Jo Pairahan Mein Koi Tar Mohtasib Se Bacha

Log Kuchh Rah-E-Mohabbat Mein Thahar Jaenge

poet

Isko Qudrat Ki Did Karta Hun

poet

Dil Shadman Ho KHuld Ki Bhi Aarzu Na Ho

abu-bakr-abbad

Aane Wali Nasl Ka Tohfa

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet