lafz tartib se rakhta huun main tamsil ke saath
kaun karta hai bayan falsafa tafsil ke saath
ashk paida hua ankhon ki zamin se yak dam
aa.ina TuuT gaya hijr ki takmil ke saath
meri avaz bahut duur talak ja.egi
ayat-e-hijr suna.unga main tartil ke saath
mere ash.ar men paigham tha duniya ke liye
mera divan bhi rakkha gaya injil ke saath
din nikalte hi utarta hai khule paani men
jaane kya rabt hai suraj ka miri jhiil ke saath
meri janib bhi to kuchh tishna-dahan aa.e giin
mera dariya bhi to bahta hai tire niil ke saath
raushni zaḳhm chhupa.e bhi to kaise aḳhir
main ne suraj ko shikasta kiya qindil ke saath
tu havas-zad hai ai dost badan ka maara
tera kuchh ḳhaas ta.alluq hai azazil ke saath
un ki parvaz pe aflak ‘fida’ hota hai
ab to shahin bhi uḌte hain ababil ke saath
Leave a Reply