• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ho Ke Betab Badal Lete The Aksar Karwat

Ho Ke Betab Badal Lete The Aksar Karwat

riyaz-khairabadi

ho ke betab badal lete the aksar karvat

ab ye hai zoaf ki qaabu se hai bahar karvat

hijr se badh ke shab-e-vasl aziyyat hai mujhe

ghair ki yaad dilati hai tiri har karvat

rind bimar raha mohtasib-e-shara se tez

is qadar jald are phenk ke saghar karvat

chutkiyan hijr men leti hai shikan bistar ki

mere pahlu men chubho deti hai nashtar karvat

shokhiyan hain ki bane hijr ki shab vasl ki raat

so rahe pher ke munh aap badal kar karvat

baithna un ka nazakat se daba kar siina

phir ye kahna ki na lena tah-e-khanjar karvat

teri thokar se na ulte kahin vo takhta-e-qabr

le na khvabida koi fitna-e-mahshar karvat

har taraf kante bichhe hain shikan bistar ke

ham ko mushkil hai badalna sar-e-bistar karvat

unhen munh pher ke sone nahin deta huun ‘riyaz’

vasl ki raat mujhe kyuun na ho dubhar karvat

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

muneer-niyazi

Mere dushman Ki Maut

ahmad-nadeem-qasmi

Sham Ko Subh-E-Chaman Yaad Aai

poet

Teri Gali Mein Jo dhuni Ramae Baithe Hain

poet

Mein Aisa Zauq-E-Zebaish Ba-Ru-E-Kar Le Aaya

Raaton Ki Sunsan saDak Par

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet