• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Main Chanchal iThlati Nadiya Bhanwar Se Kab Tak Bachti Main

Main Chanchal iThlati Nadiya Bhanwar Se Kab Tak Bachti Main

main chanchal iThlati nadiya bhanvar se kab tak bachti main

lahr lahr men Duub ke ubhri ubhar ubhar ke Duubi main

main koi patthar to nahin thi mujh ko chhukar bhi dekha

barf ko thoḌi aanch to milti aap hi aap pighalti main

ang laga kar bedardi ne aag si bhar di nas nas men

TuuT ga.e sab laaj ke ghunghru aisa jhuum ke nachi main

prem ke bandhan men bandh kar sajan itni duuri kyuun

tum bhi pyase pyase badal pyasi pyasi dharti main

aane vaale dvaar pe pahron dastak de kar lauT ga.e

haath men le kar paḌhne baiThi jab piritam ki chiTThi main

sannaTe men jab jab chhanki bairi paḌosan ki paa.el

jaane vaale yaad men teri raat rat-bhar jaagi main

kya andha vishvas tha ai ‘nasrin’ vo mujh ko mana lega

har bandhan se chhuT gaya vo haa.e kyuun us se ruThi main

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

kishwar-naheed

Tishnagi Achchhi Nahin Rakhna Bahut

kaifi-azmi

Zindagi

Raat Ye Kaun Mere KHwab Mein Aaya Hua Tha

abul-kalam-azad

In Shokh Hasinon Ki Ada Aur Hi Kuchh Hai

Hans Len Ye Sitare Bhi Abhi Raat Ke Upar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet