main ne yuun in sard labon ko rakkha un ruḳhsaron par
jaise koi bhuul se rakh de phulon ko angaron par
chhup gaya iid ka chand nikal kar der hui par jaane kyon
nazren ab tak Tiki hui hain masjid ke minaron par
aati jaati sanson par vo dil ke taḌapne ka aalam
jaise koi naach raha ho do-dhari talvaron par
barson baad jo ghar men lauTa dekh ke ankhen bhar aa.iin
ab tak un ka naam likha tha ghar ki sab divaron par
mausam-e-gul phir aaya shayad phir ik vahshat jaag uThi
vo dekho sabza ug aaya zindan ki divaron par
pairon men bandhe baiThe hain ham ḳhud hi zanjir-e-ma.ash
aur yaron ne jast laga di dekho chand sitaron par
Leave a Reply