bana huun main aaj tera mehman koi adu ko khabar na kar de
utha ke vo teri anjuman se kahin mujhe dar-ba-dar na kar de
ye vasl ki raat hai khudara naqab chehre se mat hatao
tumhare chehre ka ye ujala sahar se pahle sahar na kar de
qasam jise zabt-e-gham ki de kar utha diya apne dar se tu ne
kahin vo divana umr apni baghair tere basar na kar de
bade maze se main pi raha huun miri taraf tum abhi na dekho
mujhe ye dar hai nazar tumhari sharab ko be-asar na kar de
sataya jis ko hamesha tu ne sada akela jo chhup ke roya
vo dil-jala apne ansuon se tumhara daman bhi tar na kar de
‘qatil’ ye vasl ke zamane hasin bhi hain tavil bhi hain
magar laga hai ye dil ko dhadka inhen koi mukhtasar na kar de
Leave a Reply