tiri mahfil se jab uTh kar tira divana aata hai
kabhi ta.azim ko ka.aba kabhi but-ḳhana aata hai
kiya karte hain farzane bhi uTh kar ehtiram us ka
tumhari bazm men jab bhi koi divana aata hai
havas vaale tiri mahfil men kab tak baiTh sakte hain
vo uTh jaate hain su-e-sham.a jab parvana aata hai
dikha deta hai tufan sab ko dariya-e-haqiqat ka
kabhi jab mauj par apni tira divana aata hai
ḳhuda ko be-ḳhabar apni asiri se kahun kyun-kar
qafas men mujh se pahle mera ab-o-dana aata hai
hamare munh se kya kya be-takalluf phuul jhaḌte hain
zaban par jab kabhi zikr-e-ruḳh-e-janana aata hai
use chhoḌe hue muddat hui hai ai haram vaalo
na jaane yaad ab tak kyuun mujhe but-ḳhana aata hai
tiri mahfil men sab ai sham.a aate hain tamasha.i
aqidat se koi aata hai to parvana aata hai
hamari bada-ḳhvari bhi hai ‘sahir’ rashk ke qabil
na pahunchen ham agar chal kar yahan mai-ḳhana aata hai
Leave a Reply