hamen to harf-e-tamanna zaban pe laana hai
ye sher aur ye ghazlen to bas bahana hai
tumhare haath ka patthar koi naya to nahin
jabin se sang ka rishta bahut purana hai
ho tere husn ka jaadu ki mera josh-e-talab
nasha ye donon ka ik din utar hi jaana hai
vo musht-e-ḳhak-badan ho ki jaan ki ḳhushbu
har ek chiiz ko ik din bikhar hi jaana hai
hai jazb-e-shauq barabar magar ba-faiz-e-ana
na ham hi ja.enge un tak na un ko aana hai
Leave a Reply