kyuun kahun koi qad-avar nahin aaya ab tak
haan mire qad ke barabar nahin aaya ab tak
ek muddat se huun main sina-sipar maidan men
hamla-avar koi baḌh kar nahin aaya ab tak
ye to dariya hain jo aape se guzar jaate hain
josh men varna samundar nahin aaya ab tak
honge manzil se ham-aghosh ye ummid bandhi
raste men koi patthar nahin aaya ab tak
kya zamane men koi gosh-bar-avaz nahin
koi bhi dil ki sada par nahin aaya ab tak
jaane kya baat hai saaqi ki tiri mahfil men
jo gaya baḌh vo palaT kar nahin aaya ab tak
intiha ye hai ki pathra gaiin ankhen apni
samne vo pari-paikar nahin aaya ab tak
kya karishma hai dur-e-ashk-e-mohabbat apna
sadaf-e-chashm se bahar nahin aaya ab tak
muntazir huun main kafan bandh ke sar se ‘ajiz’
samne se koi ḳhanjar nahin aaya ab tak
Leave a Reply