zamin bar-ha badli zaman nahin badla
isi liye to ye mera jahan nahin badla
na aarzu koi badli na meri mahrumi
badal gaya hai ravayya saman nahin badla
udasi aaj bhi vaisi hai jaise pahle thi
makin badalte rahe hain makan nahin badla
kabhi charagh kabhi dil jala ke dekh liya
zara sa rang to badla dhuan nahin badla
parinde ab bhi chahakte hain gul mahakte hain
suna hai kuchh bhi abhi tak vahan nahin badla
dilon ka dard kisi taur kam nahin hoga
agar tasavvur-e-sud-o-ziyan nahin badla
Leave a Reply