• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Un Ne Kiya Tha Yaad Mujhe Bhul Kar Kahin

Un Ne Kiya Tha Yaad Mujhe Bhul Kar Kahin

khwaja-meer-dard

un ne kiya tha yaad mujhe bhuul kar kahin

paata nahin huun tab se main apni khabar kahin

aa jaae aise jiine se apna to ji ba-tang

jiita rahega kab talak ai khizr mar kahin

phirti rahi tadapti hi aalam men ja-ba-ja

dekha na meri aah ne ru-e-asar kahin

muddat talak jahan men hanste phira kiye

ji men hai khuub roiye ab baith kar kahin

yuun to nazar pade hain dil-afgar aur bhi

dil riish koi aap sa dekha na par kahin

zalim jafa jo chahe so kar mujh pe tu vale

pachhtave phir to aap hi aisa na kar kahin

phirte to ho banae saj apni jidhar tidhar

lag jaave dekhiyo na kasu ki nazar kahin

puchha main dard se ki bata tu sahi mujhe

ai khanuman-kharab hai tere bhi ghar kahin

kahne laga makan-e-muayyan faqir ko

lazim hai kya ki ek hi jagah ho har kahin

darvesh har kuja ki shab aamad sara-e-ust

tu ne suna nahin hai ye misraa magar kahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Uske Liye Kuchh Bhi Karo Anjam Shikayat

Husn Achchha Hai Mohammad Ka Kamal Achchha Hai

Dahshat Ke Mausam Mein Khilne Wale Phul

bushra-saeed

dhol Wala

majrooh-sultanpuri

Aa Nikal Ke Maidan Mein do-Rukhi Ke Khane Se

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet