aa.ine ka saath pyara tha kabhi
ek chehre par guzara tha kabhi
aaj sab kahte hain jis ko naḳhuda
ham ne us ko paar utara tha kabhi
ye mire ghar ki faza ko kiya hua
kab yahan mera tumhara tha kabhi
tha magar sab kuchh na tha dariya ke paar
is kinare bhi kinara tha kabhi
kaise TukḌon men use kar luun qubul
jo mira saare ka saara tha kabhi
aaj kitne gham hain rone ke liye
ik tire dukh ka sahara tha kabhi
justuju itni bhi be-ma.ani na thi
manzilon ne bhi pukara tha kabhi
ye na.e gumrah kya janen mujhe
main safar ka isti.ara tha kabhi
ishq ke qisse na chheḌo dosto
main isi maidan men haara tha kabhi
Leave a Reply