tumhare hain kaho ik din
kaho ik din
ki jo kuchh bhi hamare paas hai sab kuchh tumhara hai
kaho ik din
jise tum chand sa kahte ho vo chehra tumhara tha
sitara si jinhen kahte ho vo ankhen tumhari hain
jinhen tum shakh si kahte ho vo banhen tumhari hain
kabutar tolte hain par to parvazen tumhari hain
jinhen tum phuul si kahte ho vo baten tumhari hain
qayamat si jinhen kahte ho raftaren tumhari hain
kaho ik din
kaho ik din
ki jo kuchh bhi hamare paas hai sab kuchh tumhara hai
agar sab kuchh ye mera hai to sab kuchh bakhsh do ik din
vajud apna mujhe de do mohabbat bakhsh do ik din
mire honton pe apne hont rakh kar ruuh meri khinch lo ik din
Leave a Reply