jaane kya dekha tha main ne khvab men
phans gaya phir jism ke girdab men
tera kya tu to baras ke khul gaya
mera sab kuchh bah gaya sailab men
meri ankhon ka bhi hissa hai bahut
tere is chehre ki ab-o-tab men
tujh men aur mujh men taalluq hai vahi
hai jo rishta saaz aur mizrab men
mera vaada hai ki saari zindagi
tujh se main milta rahunga khvab men
Leave a Reply