• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sans Lena Bhi Saza Lagta Hai

Sans Lena Bhi Saza Lagta Hai

ahmad-nadeem-qasmi

saans lena bhi saza lagta hai

ab to marna bhi rava lagta hai

koh-e-gham par se jo dekhun to mujhe

dasht aghosh-e-fana lagta hai

sar-e-bazar hai yaron ki talash

jo guzarta hai khafa lagta hai

mausam-e-gul men sar-e-shakh-e-gul

shoala bhadke to baja lagta hai

muskurata hai jo is aalam men

ba-khuda mujh ko khuda lagta hai

itna manus huun sannate se

koi bole to bura lagta hai

un se mil kar bhi na kafur hua

dard ye sab se juda lagta hai

nutq ka saath nahin deta zehn

shukr karta huun gila lagta hai

is qadar tund hai raftar-e-hayat

vaqt bhi rishta-bapa lagta hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kis Karan Itne Rangon Se Yari Kis Karan Ye Dhang

Jaane Kitna Jiwan Pichhe chhuT Gaya Anjaane Mein

abdullah-javed

Phul Ke Laeq Faza Rakhni Hi Thi

Hazar Shukr Ki Andesha-E-Maal Gaya

Jalti Rahna Sham-E-Hayat

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet