Sitamgari Bhi Meri Kushtagan Bhi Mere The

sitamgarī bhī mirī kushtagāñ bhī mere the

bayān karte hue nauha-ḳhvāñ bhī mere the

fazā meñ uḌte parindoñ kī Daar merī thī

nishāne mere the tīr-o-kamāñ bhī mere the

vo hajv merī thī vo sab qasīde mere the

tumhāre baare meñ vahm-o-gumāñ bhī mere the

saf-e-azīzāñ saf-e-dushmanāñ bhī merī thī

vo jañg merī thī sūd-o-ziyāñ bhī mere the

safar bhī merā thā aur gard-bād mere the

vo ishq merā thā aur imtihāñ bhī mere the

lahū bhī merā thā aur āstīñ bhī merī thī

vo teġh merī thī us par nishāñ bhī mere the

hazīmateñ bhī mirī muḳhbirī bhī merī thī

halāk hote hue pāsbāñ bhī mere the

Leave a Comment