hairan hain saare a.ine mazi-o-hal ke
jalve bikhar ga.e hain ye kis ḳhush-jamal ke
us bad-guman ki hongi na kam bad-gumaniyan
ham chahe rakh den apna kaleja nikal ke
duniya se be-niyaz huun ḳhud se bhi be-ḳhabar
kya kya karam hain mujh pe gham-e-la-zaval ke
lillah dil ki baat pe parda na Daliye
asbab kuchh to honge zarur is malal ke
un ki talash men main vahan tak nikal gaya
kaTte hain par jis auj pe vahm-o-ḳhayal ke
Leave a Reply