• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ek Rishta Bana Raha Hai Mujhe

Ek Rishta Bana Raha Hai Mujhe

ek rishta bana raha hai mujhe

ek rishta miTa raha hai mujhe

ye diya chup nahin raha shab bhar

ik kahani suna raha hai mujhe

ab mujhe kiil se laTakna hai

panting si bana raha hai mujhe

ashk ankhon men ret sanson men

ishq kya kya sikha raha hai mujhe

aag ka raag hai ise mat chheḌ

be-ḳhabar kyon jala raha hai mujhe

lok dhun jaisi kho ga.i thi main

jaane ab kaun ga raha hai mujhe

saare dukh sukh ulajh ga.e aḳhir

vaqt sab kuchh bhula raha hai mujhe

aag hi aag ka izala thi

vaqt kundan bana raha hai mujhe

main nahin janti bura ya bhala

kuchh na kuchh yaad aa raha hai mujhe

har taraf ik pukar sunti huun

koi apna bula raha hai mujhe

ek dariya jo ulTa bahta hai

saath apne baha raha hai mujhe

jaise main ret ka gharaunda thi

toḌ kar phir bana raha hai mujhe

bandh kar meri donon ankhon ko

koi manzar dikha raha hai mujhe

mere par kaTne ke baad ‘sahar’

ghonsle se gira raha hai mujhe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Teri Yaadon Ko Bula Kar Tere Gesu Ki Tarah

Raunaq-E-Kucha-O-Bazar Hain Teri Aankhen

Wo Dukh Nasib Hue KHud-Kafil Hone Mein

Dekh Kar Ye Pur-Shikan Zulfen Teri

Teri Nazar Ke Ishaaron Se Khel Sakta Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet