kabhi jab dastan-e-gardish-e-ayyam likhta huun
to phir unvan ki surat men apna naam likhta huun
kabhi aghaz likhta huun kabhi anjam likhta huun
asiran-e-mohabbat ki jo sub.h-o-sham likhta huun
jalane lagti hai jab shiddat-e-tishna-labi mujh ko
tiri ankhon ko mai-ḳhana nazar ko jaam likhta huun
kisi par kis liye tohmat rakhun ḳhana-ḳharabi ki
main apne naam barbadi ke sab ilzam likhta huun
mohabbat ke taqaddus ko kabhi pamal mat karna
mohabbat ka yahi paigham sab ke naam likhta huun
muḳhatab hone lagti hai ḳhud apni zindagi mujh se
‘vali’ jab bhi main sharah-e-gardish-e-ayyam likhta huun
Leave a Reply