ye shahr to hamen sahra dikha.i deta hai
yahan har aadmi tanha dikha.i deta hai
vo rahbar ho ki rahzan ho ya rafiq-e-safar
hamen to ek hi jaisa dikha.i deta hai
jo ḳhud-numa.i ki farzi bulandiyon par hai
use har aadmi bauna dikha.i deta hai
nasheb-e-aql ke zindaniyon ko kya malum
faraz-e-dar se kya kya dikha.i deta hai
basa.e rahta hai yadon ki anjuman dil men
vo ek shaḳhs jo tanha dikha.i deta hai
bata.un kya ki guzarti hai kya mire dil par
chaman men jab bhi ujala dikha.i deta hai
ye daur vo hai ki har lamha-e-hayat hamen
hamare ḳhuun ka pyasa dikha.i deta hai
usi ke zahar ke maare hue hain ham sab log
jo dekhne men masiha dikha.i deta hai
jahan pe Dubte suraj ka aks tha larzan
vahin se chand ubharta dikha.i deta hai
ye dekhte hi kaha dil ne mere saaqi ko
ye vaisa hai nahin jaisa dikha.i deta hai
Leave a Reply