agar qadam tire mai-kash ka laḌkhaḌa jaa.e
to sham-e-mai-kada ki lau bhi tharthara jaa.e
ab is maqam pe laa.i hai zindagi mujh ko
ki chahta huun tujhe bhi bhula diya jaa.e
mujhe bhi yuun to baḌi aarzu hai jiine ki
magar saval ye hai kis tarah jiya jaa.e
gham-e-hayat se itni bhi hai kahan fursat
ki teri yaad men ji bhar ke ro liya jaa.e
unhen bhi bhuul chuka huun main ai gham-e-dauran
ab is ke ba.ad bata aur kya kiya jaa.e
na jaane ab ye mujhe kyuun ḳhayal aata hai
ki apne haal pe be-saḳhta hansa jaa.e
gurez ishq se lazim sahi magar ‘rif.at’
jo dil hi baat na maane to kya kiya jaa.e
Leave a Reply