• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sar-Sar Gesu Hila Rahi Hai

Sar-Sar Gesu Hila Rahi Hai

poet

sar-sar gesu hila rahi hai

sar par kaale khila rahi hai

furqat men khuun rula rahi hai

taqdir ye rang la rahi hai

daghon se dil jala rahi hai

ulfat sikke bitha rahi hai

daman men hai tere bu-e-kakul

kyuun mujh ko saba uda rahi hai

hal-e-tap-e-hijr kuchh na puchho

dil kha chuki jaan kha rahi hai

jheli hui hai jafa tabiat

barson hi mubtala rahi hai

kisra mahal na taq-e-jam hai

ai dil kis ki sada rahi hai

marta hai dil buton ke uupar

taqdir pahad dha rahi hai

tifli-o-javani khuub guzri

do din achchhi hava rahi hai

udti hai khaak us jagah par

barson jis ja faza rahi hai

ye bint-e-inab bahar-e-gul men

yaron ki bhi ashna rahi hai

laati nahin bu-e-yar nighat

us dil ki lagi bujha rahi hai

ham bhi the kabhi javan raana

apni bhi kabhi hava rahi hai

khulta nahin haal gul ka bulbul

shabnam paani chua rahi hai

ye fasl-e-bahar be-khudi ka

rasta ham ko bata rahi hai

gulshan men urus-e-gul ke uupar

shabnam moti luta rahi hai

phule nahin gul chaman ke andar

vahshat ankhen dikha rahi hai

fiqre se le aae us sanam ko

kyuun ‘muntahi’ baat kya rahi hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Juda Karenge Na Hum Dil Se Hasrat-E-Dil Ko

allama-iqbal

Ejaz Hai Kisi Ka Ya Gardish-E-Zamana

mirza-raza-barq

Chand Sa Chehra Jo Us Ka Aashkara Ho Gaya

poet

Ek daman Mein Phul Bhare Hain Ek daman Mein Aag Hi Aag

poet

Josh Junun Mein Raat Din Sab Se Raha Alag Alag

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet