nafas nafas hai tire gham se chuur chuur ab tak
na shaam hai na savera qarib duur ab tak
suni-suna.i pe mat ja zara qarib to aa
saza na de ki mohabbat hai be-qusur ab tak
machal rahi hai kahin ju-e-shir ai farhad
kalim san to sahi jal raha hai tuur ab tak
mire ḳhuda main kahan ja.un kis tarah DhunDun
mujhe pukar raha hai koi zarur ab tak
na tu mira na tiri ham-nashiniyan meri
bharam hai jis ko samajhte hain sab ghurur ab tak
idhar vafur-e-mohabbat udhar muravvat thi
jo kuchh kaha tha bhula de tire huzur ab tak
chala gaya hai makin chhoḌ kar makan apna
koi nahin hai magar chhan raha hai nuur ab tak
vo ek hadisa-e-ruh-o-dil ki biit gaya
jise na maan saka ‘shaz’ ka shu.ur ab tak
Leave a Reply