gham ko sabat hai na khushi ko qarar hai
jo kal tha khanda-rez vo aaj ashk-bar hai
kahti hai os phuul se o be-khud-e-nashat
ru-e-khizan bhi zer-e-hijab-e-bahar hai
jab tak jali jala ki hava aai bujh gai
ye zindagi bhi sham-e-sar-e-rah-guzar hai
jis ka nafas ki amad-o-shud par madar ho
aisi hayat ka bhi koi eatibar hai
ik main hi bad-nasib huun mahrum-e-imbisat
duniya ke lab pe zikr baharon ka rahe
apni bahar vaqf-e-khizan ho chuki to ho
har-su jo shor-e-amad-e-fasl-e-bahar hai
‘asi’ tarab-kada tha kabhi ye dil-e-hazin
ai vaae aaj hasrat-o-gham ka mazar hai
Leave a Reply