tira lahja tiri pahchan mubarak ho tujhe
tiri vahshat tira haijan mubarak ho tujhe
main mohabbat ka pujari huun so main jaata huun
ya.ani nafrat ka ye saman mubarak ho tujhe
aankh men tanz-o-ra.unat ki chamak baaqi rahe
lab pe ye talḳh si muskan mubarak ho tujhe
main dua karta huun tu shahr-e-charaghan men rahe
tira har ḳhvab-e-gulistan mubarak ho tujhe
tu hukumat ka hai shauqin tira banta hai
bebasi shahr ki sultan mubarak ho tujhe
main to mar kar bhi miri jaan bacha lunga use
tujh men marta hua insan mubarak ho tujhe
ja raha huun main tire shahr se yaden le kar
mire dilbar tira multan mubarak ho tujhe
ye bichhaḌna hi agar hal hai to ranjish kaisi
jaao na jaao miri jaan mubarak ho tujhe
Leave a Reply