ḳhair mangi jo ashiyane ki
andhiyan hans paḌin zamane ki
mere gham ko samajh saka na koi
mujh ko aadat hai muskurane ki
dil sa ghar Dha diya to kis munh se
baat karte ho ghar basane ki
husn ki baat ishq ke qisse
baat karte ho kis zamane ki
dil hi qaabu men ab nahin mera
ye qayamat tiri ada ne ki
kuchh to tufan ki zad men ham aa.e
kuchh navazish bhi na-ḳhuda ne ki
mujh ko tum yaad aur bhi aa.e
koshishen jitni ki bhulane ki
vo hi ‘naushad’ fan ka shaida.i
baat karte ho kis divane ki
Leave a Reply