dil ki rudad dil-lagi na sahi
sun to liije kabhi abhi na sahi
dekh kar mujh ko pher liin nazren
in ke chehre pe barhami na sahi
un ka jalva to har maqam pe hai
aam faizan-e-did hi na sahi
mere iqan men kami kyon hai
aap ke lutf men kami na sahi
jabr-e-hasti hai na-guzir ‘ashraf’
zindagi aaj zindagi na sahi
Leave a Reply