ham pe jis taur bhi tum chaho nazar kar dekho
haan magar baam ki rif.at se utar kar dekho
abla-pa.i ki lazzat bhi ajab lazzat hai
sakino dasht men ik baar safar kar dekho
phuul hi phuul damakte hain karan-ta-ba-karan
sho.ala-zar-e-gham-e-hasti se guzar kar dekho
ye to malum hai aa.ega na koi lekin
aaj ki raat bhi ‘shahin’ sahar kar dekho
Leave a Reply