har shai tujhi ko samne laa.e to kya karun
har shai men tu hi tu nazar aa.e to kya karun
tham tham ke aankh ashk baha.e to kya karun
rah rah ke teri yaad sata.e to kya karun
ye to batate jaao agar ja rahe ho tum!
mujh ko tumhari yaad sata.e to kya karun
maana sukun-navaz hai har shai bahar men
tere baghair chain na aa.e to kya karun
har sher men suna to gaya huun main hal-e-dil
lekin tiri samajh men na aa.e to kya karun
ab ishq se ziyada gham-e-tark-e-ishq hai
ye aag bujh ke aur jala.e to kya karun
dil ho gaya hai ḳhugar-e-bedad ishq men
un ki vafa bhi raas na aa.e to kya karun
us sharam-gin nazar ka tasavvur agar ‘shamim’
bijli dil-o-nazar par gira.e to kya karun
Leave a Reply