jalva dikhla.e jo vo apni ḳhud-ara.i ka
nuur jal jaa.e abhi chashm-e-tamasha.i ka
rang har phuul men hai husn-e-ḳhud-ara.i ka
chaman-e-dahr hai mahzar tiri yakta.i ka
apne markaz ki taraf ma.il-e-parvaz tha husn
bhulta hi nahin aalam tiri angḌa.i ka
uf tire husn-e-jahan-soz ki pur-zor kashish
nuur sab khench liya chashm-e-tamasha.i ka
dekh kar nazm-e-do-alam hamen kahna hi paḌa
ye saliqa hai kase anjuman-ara.i ka
kal jo gulzar men hain gosh-bar-avaz ‘aziz’
mujh se bulbul ne liya tarz ye sheva.i ka
Leave a Reply