apna ghar bazar men kyuun rakh diya
vaqia akhbar men kyuun rakh diya
khvab ki apni bhi ik tauqir hai
dida-e-bedar men kyuun rakh diya
khel men khana badalne ke liye
apna mohara haar men kyuun rakh diya
sar bachane tak to shayad thiik ho
khauf ye dastar men kyuun rakh diya
niind na aana ye raton ko ‘nishat’
dil ko is azar men kyuun rakh diya
Leave a Reply