ek naghma ik taara ek ghuncha ek jaam
ai gham-e-dauran gham-e-dauran tujhe mera salam
zulf avara gareban chaak ghabra.i nazar
in dinon ye hai jahan men zindagani ka nizam
chand taare TuuT kar daman men mere aa gire
main ne puchha tha sitaron se tire gham ka maqam
kah rahe hain chand bichhḌe rahravon ke naqsh-e-pa
ham karenge inqalab-e-justuju ka ehtimam
paḌ ga.iin pairahan-e-sub.h-e-chaman par silvaTen
yaad aa kar rah ga.i hai be-ḳhudi ki ek shaam
teri ismat ho ki ho mere hunar ki chandni
vaqt ke bazar men har chiiz ke lagte hain daam
ham bana.enge yahan ‘saghar’ na.i tasvir-e-shauq
ham taḳhayyul ke mujaddid ham tasavvur ke imaam
Leave a Reply