raushan hon dil ke daagh to lab par fughan kahan
ai ham-safir atish-e-gul men dhuan kahan
hai naam ashiyan ka magar ashiyan kahan
nikhre hue hain khaak men tinke kahan kahan
uth uth ke puchhta hi raha raah ka ghubar
kahta magar ye kaun luta karvan kahan
baaqi nahin hain jaib-o-gareban ke taar bhi
likkhenge ai bahar tiri dastan kahan
ham ajnabi hain aaj bhi apne dayar men
har shakhs puchhta hai yahi tum yahan kahan
dekho ki ab hai barq-e-sitam ki nazar kidhar
puchho na ye chaman men jale ashiyan kahan
aalam guzar raha hai ajab ahl-e-dard par
ho dil men muddaa bhi to munh men zaban kahan
apni khushi vajud-e-gulistan pe ai ‘nasim’
maana ki vo sukun-e-nasheman yahan kahan
Leave a Reply