kiya hai tu ne to jan-e-jahan jahan taskhir
hua hai husn ka shohra tira to alam-gir
naha ke baal jo sarkae gore chehre se
to jaise chand nikal aaya kaali badri chiir
na khub-ru tujhe kah sakte hain na mahr na maah
ajab gadhi yad-e-qudrat ne kuchh tiri tasvir
jahan pada tira saaya uga vahan gulzar
qadam dhara hai tu jis ja bana hai mushk-o-abir
shikar kar liya saara jahan shikar-andaz
hua hai paar nigah se tiri nigah ka tiir
hue na zabh na fitrak tak ye ja pahunche
idhar udhar hain tadapte ye nim-jan nakhchir
hai ‘azfari’ vo siyah-bakht saanp kaata bhi
padi hai zulf ki aa jis ke paanv men zanjir
Leave a Reply