Tujhse Hi Sab Bahaar Hai Mere Dost

tujh se hī sab bahār hai mire dost

tū hī dil kā qarār hai mire dost

terī yādoñ se dil huā ābād

varna ujḌā dayār hai mire dost

lutf ke saa.e meñ mujhe rakh le

dhuup hai regzār hai mire dost

tū hai sar chaḌh ke boltā jaadū

tū sarāpā ḳhumār hai mire dost

mujh se ābād hai jo tanhā.ī

zindagī kā siñghār hai mire dost

duniyā kuchh bhī kahe magar ‘jāzib’

vaqt be-e’tibār hai mire dost

Leave a Comment