ahaTon se dimagh jalta hai
aaj sikka hava ka chalta hai
thartharati hai lau mashiyyat ki
ek mahshar faza men palta hai
sar uThate hain naqsh paanv tale
saaya jab aadmi ka Dhalta hai
rang chunta hai zehn billor
jism jab dhuup se pighalta hai
apne mehvar pe shaam tak suraj
kitne hi zaviye badalta hai
kar ke patthar se paash paash hamen
shahr ka shahr haath malta hai
sho.ala-zan hai gham-e-hayat ‘samad’
parbaton se dhuan nikalta hai
Leave a Reply