mohabbat ka zamana yaad aaya
mujhe apna fasana yaad aaya
jabin ki shorishen allahu-akbar
phir un ka astana yaad aaya
vo rudad-e-alam phir yaad aa.i
tira aansu bahana yaad aaya
asiron ko qafas ki zindagi men
nasheman ka zamana yaad aaya
lab-e-gul ka tabassum kuchh na puchho
tumhara muskurana yaad aaya
vo aalam apni az-ḳhud-raftagi ka
vo un ka paas aana yaad aaya
gile shikve kahan tak un se ‘nudrat’
ye kab ka dostana yaad aaya
Leave a Reply