main kahan karvan-e-shauq kahan
ab vo tab sa jahan-e-shauq kahan
kuchh to dil bhi hai zauq se ḳhali
aur kuchh vo zaban-e-shauq kahan
kab rahi hai mata-e-dil bhi saath
aur saudagaran-e-shauq kahan
ishq bhi bebasi sa lagta hai
dil bhi ab ham-zaban-e-shauq kahan
be-hisi par hai zindagi ‘azad’
yaar vo nukta-dan-e-shauq kahan
Leave a Reply