haq-o-nahaq jalana ho kisi ko to jala dena
koi ro.e tumhare samne tum muskura dena
taraddud barq-rezon men tumhen karne ki kya hajat
tumhen kaafi hai hansta dekh lena muskura dena
dilon par bijliyan girne ki surat gar koi puchhe
to main kah duun tumhara dekh lena muskura dena
hui bijli se kis din naql andaz-e-sitamgari
tumhari tarah sikha laakh us ne muskura dena
sitamgari ki talimen unhen di hain ye kah kah kar
ki rota jis kisi ko dekh lena muskura dena
takalluf-bar-taraf kyuun phuul le kar aao turbat par
magar jab fatiha ko haath uThana muskura dena
na kyuun ham inqilab-e-dahr ko manen agar dekhen
gulon ka naala karna bulbulon ka muskura dena
na jaana na-tavani par ki ab bhi sa.i-e-naḳhun se
dikha sakte hain ham zaḳhm-e-kuhan ka muskura dena
tumhare naam men kya za.afaran ki shaḳh hai ‘sa.il’
ki jo sunta hai is ko us ko sun kar muskura dena
Leave a Reply