• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nigar-E-Subh Ki Ummid Mein Pighalte Hue

Nigar-E-Subh Ki Ummid Mein Pighalte Hue

obaidullah-aleem

nigar-e-subh ki ummid men pighalte hue

charagh khud ko nahin dekhta hai jalte hue

vo husn us ka bayan kya kare jo dekhta ho

har ik ada ke kai qad nae nikalte hue

vo mauj-e-mai-kada-e-rang hai badan us ka

ki hain talatum-e-mai se subu uchhalte hue

to zarra zarra us aalam ka hai zulekha sifat

chale jo dasht-e-bala men koi sambhalte hue

ye ruuh khinchti chali ja rahi hai kis ki taraf

ye paanv kyuun nahin thakte hamare chalte hue

usi ke naam ki khushbu se saans chalti rahe

usi ka naam zaban par ho dam nikalte hue

khayal o khvab ke kya kya na silsile nikle

charagh jalte hue aftab dhalte hue

andhere hain yahan suraj ke naam par raushan

ujalon se yahan dekhe hain log jalte hue

utaar in men koi apni raushni ya rab

ki log thak gae zulmat se ab bahalte hue

vo aa rahe hain zamane ki tum bhi dekhoge

khuda ke haath se insan ko badalte hue

vo subh hogi to firaun phir na guzrenge

dilon ko raundte insan ko masalte hue

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

baDe Adab Se Ghurur-E-Sitam-Garan Bola

Kahan Milega Wo Mujhse Agar Yahan Bhi Rahe

ahmad-shanas

dasht-e-Ummid Mein Khwabon Ka Safar Karna Tha

Motaqid Is Bar Shayad surKH-Ru Hone Ko Hai

abdurrahman-momin

Aaj Phir Us dil-Nashin Par Aa Gaya Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet