rang badla hai kai din se mizaj-e-yar ka
jod shayad chal gaya phir aaj kal aghyar ka
kas qadar paaya saveda-e-dil-e-ashiq ne auj
rafta rafta til bana akhir tire rukhsar ka
ab to aa kar dekh jaana chahiye tujh ko zarur
haal hai nau-e-digar iisa tire bimar ka
be-khudi men zakhm-e-dil par jabki padti hai nazar
hota hai dhoka tumhare rauzan-e-divar ka
hal-e-dard-e-dil bayan kis se karun main bad-nasib
tu hi jab pursan na ho le mere hal-e-zar ka
baat karna ho gaya mushkil buton ke samne
pad gaya phanda gale men rishta-e-zunnar ka
ho gaya huun na-tavan aisa tumhare hijr men
todna mushkil hua hai ansuon ke taar ka
ik faqat tere kashida hone se ye haal hai
bhagta hai saaya tak mujh se tiri divar ka
na-tavan aisa huun pis kar khaak ho jaun abhi
saaya pad jaae agar mujh par tiri divar ka
ab to surat apni dikhlao khuda ke vaste
dam nikalta hai tumhare talib-e-didar ka
apni kam-fahmi se ‘anjum’ ham nihayat tang hain
zehn men aata nahin mazmun dahan-e-yar ka
Leave a Reply